machhli kud gai pani mein
machhlī kuud ga.ī paanī meñ
maiñ huuñ nāhaq hairānī meñ
raah meñ kāñTe bichhvāne haiñ
mujh ko hai mushkil āsānī meñ
ek siyānī ya.anī duniyā
aur ik dīvāna ya.anī maiñ
ek tamannā shīshe kī thī
TuuT ga.ī khīñchā-tānī meñ
ḳhvāboñ kā saudā kar Daalā
niiñd ne āḳhir nādānī meñ
aa dhamke haiñ guzre lamhe
shor bapā hai vīrānī meñ
ishq kahā thā nā mat kiije
rahiye roz pareshānī meñ
qaum ke ḳhidmat-gāroñ ke din
biit rahe haiñ sultānī meñ
machhli kud gai pani mein
main hun nahaq hairani mein
rah mein kanTe bichhwane hain
mujh ko hai mushkil aasani mein
ek siyani yani duniya
aur ek diwana yani main
ek tamanna shishe ki thi
TuT gai khincha-tani mein
KHwabon ka sauda kar Dala
nind ne aaKHir nadani mein
aa dhamke hain guzre lamhe
shor bapa hai virani mein
ishq kaha tha na mat kije
rahiye roz pareshani mein
qaum ke KHidmat-garon ke din
bit rahe hain sultani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.