machhliyon ka zindan hai martaban shishe ka
machhliyoñ kā zindāñ hai martabān shīshe kā
dekh saat rañgoñ meñ ye jahān shīshe kā
saañs le rahe the tum ek aisī duniyā meñ
thī zamīn patthar kī āsmān shīshe kā
ek bante jaate haiñ phuul āshnā.ī ke
chhāñv de nahīñ saktā sā.ebān shīshe kā
āñsuoñ kī bārish meñ chuur chuur hotā hai
aarzū banātī hai jo makān shīshe kā
zindagī kī rāhoñ meñ aag ban ke bikhrā hai
vo jo ek lamha thā merī jaan shīshe kā
is jahāñ meñ ham shāyad phuul kī mahak meñ hoñ
ye jahāñ 'zafar' dekhā ḳhāk-dān shīshe kā
machhliyon ka zindan hai martaban shishe ka
dekh sat rangon mein ye jahan shishe ka
sans le rahe the tum ek aisi duniya mein
thi zamin patthar ki aasman shishe ka
ek bante jate hain phul aashnai ke
chhanw de nahin sakta saeban shishe ka
aansuon ki barish mein chur chur hota hai
aarzu banati hai jo makan shishe ka
zindagi ki rahon mein aag ban ke bikhra hai
wo jo ek lamha tha meri jaan shishe ka
is jahan mein hum shayad phul ki mahak mein hon
ye jahan 'zafar' dekha KHak-dan shishe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.