madar-e-zat se aage kabhi nahin gaya tha
madār-e-zāt se aage kabhī nahīñ gayā thā
maiñ kā.enāt se aage kabhī nahīñ gayā thā
tumhārī zulf ne us ko hilā ke rakh diyā hai
jo shaḳhs raat se aage kabhī nahīñ gayā thā
taġhayyurāt kī mantiq udaas hai lekin
maiñ tujh sabāt se aage kabhī nahīñ gayā thā
husainī pyaas ko chakkhā to had se paar huā
suḳhan furāt se aage kabhī nahīñ gayā thā
hasīn lams ne zanjīr khīñch rakkhī thī
maiñ tere haath se aage kabhī nahīñ gayā thā
madar-e-zat se aage kabhi nahin gaya tha
main kaenat se aage kabhi nahin gaya tha
tumhaari zulf ne us ko hila ke rakh diya hai
jo shaKHs raat se aage kabhi nahin gaya tha
taghayyuraat ki mantiq udas hai lekin
main tujh sabaat se aage kabhi nahin gaya tha
husaini pyas ko chakkha to had se par hua
suKHan furaat se aage kabhi nahin gaya tha
hasin lams ne zanjir khinch rakkhi thi
main tere hath se aage kabhi nahin gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.