madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai
madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
madār-e-zīst hai jis par vo saañs hī kiyā hai
agar ho ishq se ḳhālī to zindagī kyā hai
huzūr-e-dost ḳhabar ho ki be-ḳhudī kyā hai
isī kā naam hai ġhaflat to āgahī kyā hai
nafas nafas tirā sajda qadam qadam tirī raah
jo zindagī se alag ho vo bandagī kyā hai
na ab hai qurb kī ḳhvāhish na justujū-e-karam
kisī kā ġham hai salāmat to phir kamī kyā hai
banā diyā hai mire ishq kī nazar ne hasīñ
tirī adā tire jalvoñ kī dil-kashī kyā hai
nigāh-e-ishq se paidā to ho koī bijlī
girī na husn ke dil par to baat hī kyā
quyūd-e-lafz meñ dil kī sadā chhupī hai 'bashīr'
hamāre sher haiñ kyā chiiz shā.irī kyā hai
madar-e-zist hai jis par wo sans hi kiya hai
agar ho ishq se KHali to zindagi kya hai
huzur-e-dost KHabar ho ki be-KHudi kya hai
isi ka nam hai ghaflat to aagahi kya hai
nafas nafas tera sajda qadam qadam teri rah
jo zindagi se alag ho wo bandagi kya hai
na ab hai qurb ki KHwahish na justuju-e-karam
kisi ka gham hai salamat to phir kami kya hai
bana diya hai mere ishq ki nazar ne hasin
teri ada tere jalwon ki dil-kashi kya hai
nigah-e-ishq se paida to ho koi bijli
giri na husn ke dil par to baat hi kya
quyud-e-lafz mein dil ki sada chhupi hai 'bashir'
hamare sher hain kya chiz shairi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.