madad itni to kar ai jazba-e-dard-e-nihan meri
madad itnī to kar ai jazba-e-dard-e-nihāñ merī
tamannā hai vo mere muñh se sun leñ dāstāñ merī
kisī din dekh lenā rang lā.egī fuġhāñ merī
bigāḌegā kahāñ tak baat tū ai āsmāñ merī
ġham-e-duniyā-o-dīñ se kyā ta.alluq maiñ vo mai-kash huuñ
ki hai ḳhāk-e-shifā ḳhāk-e-dar-e-pīr-e-muġhāñ merī
muaaf ai ham-safīrān-e-qafas jurm-e-navā-sanjī
abhī nā-āshnā-e-zabt-e-ulfat hai fuġhāñ merī
vo mahfil hai ki 'sāqib' imtihāñ-gāh-e-mohabbat hai
nigāh-e-fitna-zā un kī hai jān-e-nā-tavāñ merī
madad itni to kar ai jazba-e-dard-e-nihan meri
tamanna hai wo mere munh se sun len dastan meri
kisi din dekh lena rang laegi fughan meri
bigaDega kahan tak baat tu ai aasman meri
gham-e-duniya-o-din se kya talluq main wo mai-kash hun
ki hai KHak-e-shifa KHak-e-dar-e-pir-e-mughan meri
muaf ai ham-safiran-e-qafas jurm-e-nawa-sanji
abhi na-ashna-e-zabt-e-ulfat hai fughan meri
wo mahfil hai ki 'saqib' imtihan-gah-e-mohabbat hai
nigah-e-fitna-za un ki hai jaan-e-na-tawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.