madrasa aawargi aur hath mein basta na tha
madrasa āvārgī aur haath meñ basta na thā
jo kitāboñ meñ hai likkhā us ko vo paḌhtā na thā
yuuñ to darvāze khule the saare us ke vāste
vo musāfir rāstoñ kā ek jā Thahrā na thā
jo sunātā thā kabhī āb-e-ravāñ kī dāstāñ
us ke hoñToñ kā muqaddar os kā qatra na thā
tishnagī hī tishnagī thī aur sahrā ke sarāb
aañkh paanī par thī lekin sāmne dariyā na thā
chhoḌ aayā thā jise maiñ ḳhud anā ke zo'm meñ
phir palaT kar us ko maiñ ne 'umr bhar dekhā na thā
mere hāthoñ meñ hai ḳhushbū us ke hāthoñ kī 'adīb'
jism jis kā chhū ke maiñ ne aaj tak dekhā na thā
madrasa aawargi aur hath mein basta na tha
jo kitabon mein hai likkha us ko wo paDhta na tha
yun to darwaze khule the sare us ke waste
wo musafir raston ka ek ja Thahra na tha
jo sunata tha kabhi aab-e-rawan ki dastan
us ke honTon ka muqaddar os ka qatra na tha
tishnagi hi tishnagi thi aur sahra ke sarab
aankh pani par thi lekin samne dariya na tha
chhoD aaya tha jise main KHud ana ke zo'm mein
phir palaT kar us ko main ne 'umr bhar dekha na tha
mere hathon mein hai KHushbu us ke hathon ki 'adib'
jism jis ka chhu ke main ne aaj tak dekha na tha
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 402)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.