magar tum sin hua hai aashna dil
magar tum siiñ huā hai āshnā dil
ki ham siiñ ho gayā hai bevafā dil
chaman meñ os ke qatroñ kī mānind
paḌe haiñ tujh galī meñ jā-ba-jā dil
jo ġham guzrā hai mujh par āshiqī meñ
so maiñ hī jāntā huuñ yā mirā dil
hamārā bhī kahātā thā kabhī ye
sajan tum jaan lo ye hai mirā dil
kaho ab kyā karūñ daanā ki jab yuuñ
birah ke bhaaḌ meñ jā kar paḌā dil
kahāñ ḳhātir meñ laave 'ābrū' kuuñ
huā us mīrzā kā āshnā dil
magar tum sin hua hai aashna dil
ki hum sin ho gaya hai bewafa dil
chaman mein os ke qatron ki manind
paDe hain tujh gali mein ja-ba-ja dil
jo gham guzra hai mujh par aashiqi mein
so main hi jaanta hun ya mera dil
hamara bhi kahata tha kabhi ye
sajan tum jaan lo ye hai mera dil
kaho ab kya karun dana ki jab yun
birah ke bhaD mein ja kar paDa dil
kahan KHatir mein lawe 'abru' kun
hua us mirza ka aashna dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.