maghrur the apni zat par hum
maġhrūr the apnī zaat par ham
rone lage baat baat par ham
ai dil tirī maut kā bhī ġham hai
ḳhush bhī haiñ tirī najāt par ham
luT jā.eñge zabt-e-ġham ke hāthoñ
mar jā.eñge apnī baat par ham
ye bhī tire ġham kā aasrā hai
hañste haiñ ġham-e-hayāt par ham
kyā naaz thā 'saif' hausle par
chup ho ga.e ek baat par ham
maghrur the apni zat par hum
rone lage baat baat par hum
ai dil teri maut ka bhi gham hai
KHush bhi hain teri najat par hum
luT jaenge zabt-e-gham ke hathon
mar jaenge apni baat par hum
ye bhi tere gham ka aasra hai
hanste hain gham-e-hayat par hum
kya naz tha 'saif' hausle par
chup ho gae ek baat par hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.