maghruri mein kis ko kis ka dhyan raha
maġhrūrī meñ kis ko kis kā dhyān rahā
dariyā bhī apne ko sāgar maan rahā
jab TuuTā thā thoḌe din be-jān rahā
phir bhī dil to dil hai dil nādān rahā
merā qātil mere andar thā lekin
marte dam tak maiñ us se anjān rahā
dukh ne hī jīvan bhar saath diyā merā
sukh to keval do din kā mehmān rahā
vo bhī mujh ko do din meñ hī bhuul gayā
merā bhī aage rasta āsān rahā
maghruri mein kis ko kis ka dhyan raha
dariya bhi apne ko sagar man raha
jab TuTa tha thoDe din be-jaan raha
phir bhi dil to dil hai dil nadan raha
mera qatil mere andar tha lekin
marte dam tak main us se anjaan raha
dukh ne hi jiwan bhar sath diya mera
sukh to kewal do din ka mehman raha
wo bhi mujh ko do din mein hi bhul gaya
mera bhi aage rasta aasan raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.