mah-e-visal tujhe to KHabar nahin hogi
mah-e-visāl tujhe to ḳhabar nahīñ hogī
ki dil meñ terī jagah tīrgī makīñ hogī
vo maiñ nahīñ to koī aur bhī nahīñ hogā
ki jis ke dard kī āvāz naġhmagīñ hogī
bas is talāsh meñ chhānā hai halqa-e-hūrāñ
koī to hogī jo us kī tarah hasīñ hogī
diloñ kī saltanateñ fat.h kar sakegī vo
ki jis zabān meñ tāsīr-e-angbīñ hogī
palaT ke shahr meñ aayā to dam hī ghuTne lagā
tavaqqo thī ki mirī jaañ yahīñ kahīñ hogī
mirī zabāñ pe na aa.egī dāstān tirī
ye merī aañkh tire dard kī amiiñ hogī
yahī raqīb se mil kar lagā mujhe 'adnān'
vo mere saath rahegī agar zahīñ hogī
mah-e-visal tujhe to KHabar nahin hogi
ki dil mein teri jagah tirgi makin hogi
wo main nahin to koi aur bhi nahin hoga
ki jis ke dard ki aawaz naghmagin hogi
bas is talash mein chhana hai halqa-e-huran
koi to hogi jo us ki tarah hasin hogi
dilon ki saltanaten fath kar sakegi wo
ki jis zaban mein tasir-e-angbin hogi
palaT ke shahr mein aaya to dam hi ghuTne laga
tawaqqo thi ki meri jaan yahin kahin hogi
meri zaban pe na aaegi dastan teri
ye meri aankh tere dard ki amin hogi
yahi raqib se mil kar laga mujhe 'adnan'
wo mere sath rahegi agar zahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.