mah-jabinon ki adaon se ulajh baiTha hun
mah-jabīnoñ kī adāoñ se ulajh baiThā huuñ
is kā matlab hai balāoñ se ulajh baiThā huuñ
bāb-e-tāsīr se nākām palaT aa.ī hai
is liye apnī duāoñ se ulajh baiThā huuñ
terī dahlīz pe jhukne kā savāl aayā thā
maiñ zamāne kī anāoñ se ulajh baiThā huuñ
jo musāfir ke liye ba.is-e-taskīn nahīñ
aise ashjār kī chhāñv se ulajh baiThā huuñ
jo ġharīboñ kā diyā phūñk ke tham jaatī hai
aisī kam-zarf havāoñ se ulajh baiThā huuñ
ab tirī god ke pāloñ meñ bhī ehsās nahīñ
bas yahī soch ke gaañv se ulajh baiThā huuñ
arsh vaale mirī tauqīr salāmat rakhnā
farsh ke saare ḳhudāoñ se ulajh baiThā huuñ
apne qātil se ulajhne kā irāda kar ke
log kahte haiñ ḳhalāoñ se ulajh baiThā huuñ
ek kam-zarf kī be-rabt jafā kī ḳhātir
shahr-vāloñ kī vafāoñ se ulajh baiThā huuñ
terī dastār se 'kāzim' maiñ ulajh na paatā
bas yahī soch ke paañv se ulajh baiThā huuñ
mah-jabinon ki adaon se ulajh baiTha hun
is ka matlab hai balaon se ulajh baiTha hun
bab-e-tasir se nakaam palaT aai hai
is liye apni duaon se ulajh baiTha hun
teri dahliz pe jhukne ka sawal aaya tha
main zamane ki anaon se ulajh baiTha hun
jo musafir ke liye bais-e-taskin nahin
aise ashjar ki chhanw se ulajh baiTha hun
jo gharibon ka diya phunk ke tham jati hai
aisi kam-zarf hawaon se ulajh baiTha hun
ab teri god ke palon mein bhi ehsas nahin
bas yahi soch ke ganw se ulajh baiTha hun
arsh wale meri tauqir salamat rakhna
farsh ke sare KHudaon se ulajh baiTha hun
apne qatil se ulajhne ka irada kar ke
log kahte hain KHalaon se ulajh baiTha hun
ek kam-zarf ki be-rabt jafa ki KHatir
shahr-walon ki wafaon se ulajh baiTha hun
teri dastar se 'kazim' main ulajh na pata
bas yahi soch ke panw se ulajh baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.