mah-o-KHurshid-o-aKHtar likh raha hun
mah-o-ḳhurshīd-o-aḳhtar likh rahā huuñ
tire chehre kā manzar likh rahā huuñ
bahut tazlīl āñkhoñ kī huī hai
so ab har ġham ko andar likh rahā huuñ
harārat vaqt kī kaise na hogī
maiñ har lamhe ko chhū kar likh rahā huuñ
ġham-e-hastī maiñ apnā qadd-o-qāmat
tire qad ke barābar likh rahā huuñ
maiñ aise daur meñ zinda huuñ ab tak
jabhī ḳhud ko sikandar likh rahā huuñ
tirā paikar nazar meñ Dhal rahā hai
ki maiñ husn-e-gul-e-tar likh rahā huuñ
musalsal dhuup meñ hai raqs apnā
ki bachchoñ kā muqaddar likh rahā huuñ
maiñ ab lagtā huuñ ḳhud ko puure qad kā
magar ye baat jhuk kar likh rahā huuñ
mah-o-KHurshid-o-aKHtar likh raha hun
tere chehre ka manzar likh raha hun
bahut tazlil aankhon ki hui hai
so ab har gham ko andar likh raha hun
hararat waqt ki kaise na hogi
main har lamhe ko chhu kar likh raha hun
gham-e-hasti main apna qadd-o-qamat
tere qad ke barabar likh raha hun
main aise daur mein zinda hun ab tak
jabhi KHud ko sikandar likh raha hun
tera paikar nazar mein Dhal raha hai
ki main husn-e-gul-e-tar likh raha hun
musalsal dhup mein hai raqs apna
ki bachchon ka muqaddar likh raha hun
main ab lagta hun KHud ko pure qad ka
magar ye baat jhuk kar likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.