mah-paron ke mare sun
mah-pāroñ ke maare sun
kyā kahte haiñ taare sun
she'r nahīñ ye shikve haiñ
sunñe haiñ to saare sun
'ishq kī dastak ko pahchān
dhaḌkan ke naqqāre sun
ye jhankār hai patthar kī
o nadiyā ke dhāre sun
ik ik raushan mahfil meñ
gūñjte haiñ añdhiyāre sun
'amit' kisī kā ho chāhe
jab vo naam pukāre sun
mah-paron ke mare sun
kya kahte hain tare sun
she'r nahin ye shikwe hain
sunne hain to sare sun
'ishq ki dastak ko pahchan
dhaDkan ke naqqare sun
ye jhankar hai patthar ki
o nadiya ke dhaare sun
ek ek raushan mahfil mein
gunjte hain andhiyare sun
'amit' kisi ka ho chahe
jab wo nam pukare sun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.