mah-ru na ho aur chandni wo raat hai kis kaam ki
mah-rū na ho aur chāñdnī vo raat hai kis kaam kī
ho vo bhī par ḳhalvat na ho ye baat hai kis kaam kī
do bose yā lag lo gale tab gāliyāñ mīThī lageñ
gar vo nahīñ aur ye nahīñ salvāt hai kis kaam kī
jab yaar se hove judā ek yār-e-jānī dosto
bāġh-o-bahār o jām-o-mul barsāt hai kis kaam kī
hai nasb meñ aalī agar rakhtā na ho ilm-o-hunar
ik Dher se bhī hai batar vo zaat hai kis kaam kī
mah-ru na ho aur chandni wo raat hai kis kaam ki
ho wo bhi par KHalwat na ho ye baat hai kis kaam ki
do bose ya lag lo gale tab galiyan miThi lagen
gar wo nahin aur ye nahin salwat hai kis kaam ki
jab yar se howe juda ek yar-e-jaani dosto
bagh-o-bahaar o jam-o-mul barsat hai kis kaam ki
hai nasb mein aali agar rakhta na ho ilm-o-hunar
ek Dher se bhi hai batar wo zat hai kis kaam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.