maha parbat ki aankhon se baha hai
mahā parbat kī āñkhoñ se bahā hai
jo aañsū jā ke sindhū meñ girā hai
kab utreñge safīne pāniyoñ par
ye dariyā kab se tanhā bah rahā hai
purāne mābadoñ meñ ek rāhib
abhī tak ahd-nāma kholtā hai
jale zaitūn kī Tahnī ke uupar
halab kī fāḳhta mahv-e-duā hai
pahāḌī rāstoñ pe āḳhir-e-shab
tumhārā rab hathelī kholtā hai
maha parbat ki aankhon se baha hai
jo aansu ja ke sindhu mein gira hai
kab utrenge safine paniyon par
ye dariya kab se tanha bah raha hai
purane mabadon mein ek rahib
abhi tak ahd-nama kholta hai
jale zaitun ki Tahni ke upar
halab ki faKHta mahw-e-dua hai
pahaDi raston pe aaKHir-e-shab
tumhaara rab hatheli kholta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.