Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahaz-e-ilm pe chhaya hua andhera hai

Fazl Lakhnavi

mahaz-e-ilm pe chhaya hua andhera hai

Fazl Lakhnavi

MORE BYFazl Lakhnavi

    mahāz-e-ilm pe chhāyā huā añdherā hai

    ḳhirad raah ko dīvāngī ne gherā hai

    chaman ḳhaak meñ ibrat dāstāneñ haiñ

    sisak rahī haiñ bahāreñ ḳhizāñ Derā hai

    charāġh-e-dair-o-haram jal ga.e magar ab bhī

    jidhar nigāh uThāo udhar añdherā hai

    samundaroñ pe sitāroñ pe nazm-e-ālam par

    na iḳhtiyār tumhārā hai aur na merā hai

    hazār rañg bharī zindagī pe naaz na kar

    qadam sambhal ke uThā maut añdherā hai

    ye aate jaate hue ajnabī na samjheñge

    gadā-nasīb batā de kidhar pherā hai

    ye kachchī niiñd āñkheñ ye surmagīñ tevar

    añdherī raat ke dāman meñ bhī saverā hai

    qadam qadam pe vafā ke diye jalā ke chalo

    sunā hai 'fazl' adam meñ bahut añdherā hai

    mahaz-e-ilm pe chhaya hua andhera hai

    KHirad ki rah ko diwangi ne ghera hai

    chaman ki KHak mein ibrat ki dastanen hain

    sisak rahi hain bahaaren KHizan ka Dera hai

    charagh-e-dair-o-haram jal gae magar ab bhi

    jidhar nigah uThao udhar andhera hai

    samundaron pe sitaron pe nazm-e-alam par

    na iKHtiyar tumhaara hai aur na mera hai

    hazar rang bhari zindagi pe naz na kar

    qadam sambhal ke uTha maut ka andhera hai

    ye aate jate hue ajnabi na samjhenge

    gada-nasib bata de kidhar ka phera hai

    ye kachchi nind ki aankhen ye surmagin tewar

    andheri raat ke daman mein bhi sawera hai

    qadam qadam pe wafa ke diye jala ke chalo

    suna hai 'fazl' adam mein bahut andhera hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now