mahaz-e-nur se yaksar haTa diye gae hum
mahāz-e-nūr se yaksar haTā diye ga.e ham
misāl-e-sham-e-saharī bujhā diye ga.e ham
saroñ kī fasl pe shāyad zakāt vājib thī
so is nisāb se ab ke ghaTā diye ga.e ham
makīn-e-ḳhuld haiñ ham bhī nasab kī nisbat se
zamīñ pe hasb-e-mashiyyat basā diye ga.e ham
visāl-o-hijr bhī haiñ faisle nasīboñ ke
kisī se bichhḌe kisī se milā diye ga.e ham
badan ke bojh se ik umr tak niDhāl rahe
zamīñ kī god meñ āḳhir sulā diye ga.e ham
mahaz-e-nur se yaksar haTa diye gae hum
misal-e-sham-e-sahari bujha diye gae hum
saron ki fasl pe shayad zakat wajib thi
so is nisab se ab ke ghaTa diye gae hum
makin-e-KHuld hain hum bhi nasab ki nisbat se
zamin pe hasb-e-mashiyyat basa diye gae hum
visal-o-hijr bhi hain faisle nasibon ke
kisi se bichhDe kisi se mila diye gae hum
badan ke bojh se ek umr tak niDhaal rahe
zamin ki god mein aaKHir sula diye gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.