mahak mahak si gai main gulab ki surat
mahak mahak sī ga.ī maiñ gulāb kī sūrat
vo bas gayā mirī āñkhoñ meñ ḳhvāb kī sūrat
maiñ ret-ret chalī ābloñ ke saath yahāñ
jo zindagī milī vo thī sarāb kī sūrat
nasīb ne use shāhoñ kī zindagī de dī
paḌā thā dar pe jo ḳhāna-ḳharāb kī sūrat
jise hai bair mirī izzat-o-vaqār se vo
banā ke aayā thā izzat-ma.āb kī sūrat
zakāt dene dikhāve kī kyā zarūrat hai
gunāh karne lage ho savāb kī sūrat
mahak mahak si gai main gulab ki surat
wo bas gaya meri aankhon mein KHwab ki surat
main ret-ret chali aablon ke sath yahan
jo zindagi mili wo thi sarab ki surat
nasib ne use shahon ki zindagi de di
paDa tha dar pe jo KHana-KHarab ki surat
jise hai bair meri izzat-o-waqar se wo
bana ke aaya tha izzat-maab ki surat
zakat dene dikhawe ki kya zarurat hai
gunah karne lage ho sawab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.