mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai
mahbūb-e-nazar aap ke chehre kī ziyā hai
matlūb-e-jabīñ aap kā naqsh-e-kaf-e-pā hai
ham ne tire jalve kā jise aks kahā hai
logoñ ne use phuul kā unvān diyā hai
hañste hue tāroñ kā galā ghoñT diyā hai
sūraj kī shuāoñ ne baḌā zulm kiyā hai
martā hai to mar jaa.e koī merī balā se
mujh ko mire māhaul ne ye dars diyā hai
āñkhoñ meñ haiñ aañsū ki añdherā hai pur-afshāñ
jis chehre ko dekhā vahī dhuñdlā sā lagā hai
mahbub-e-nazar aap ke chehre ki ziya hai
matlub-e-jabin aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
hum ne tere jalwe ka jise aks kaha hai
logon ne use phul ka unwan diya hai
hanste hue taron ka gala ghonT diya hai
suraj ki shuaon ne baDa zulm kiya hai
marta hai to mar jae koi meri bala se
mujh ko mere mahaul ne ye dars diya hai
aankhon mein hain aansu ki andhera hai pur-afshan
jis chehre ko dekha wahi dhundla sa laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.