mahdud kar nazar ko na tanha bahaar dekh
mahdūd kar nazar ko na tanhā bahār dekh
gulshan ke saath saath dil-e-dāġh-dār dekh
himmat na haar gardish-e-lail-o-nahār dekh
kuchh aur din abhī sitam-e-rozgār dekh
tuutī kī tarah dekh na misl-e-hazār dekh
insān ban ke naqsh-o-nigār-e-bahār dekh
ai nā-shanās himmat-e-insāñ zarā samajh
dil kī bisāt dekh ġham-e-rozgār dekh
mansūr kī zabāñ se tū rāz-e-ḳhudī sunā
merī jabīñ meñ jalva-e-husn-e-nigār dekh
barbād kar na zindagī-e-musta.ār ko
milnī nahīñ ye chiiz tujhe bār-bār dekh
ai shahsavār-e-arsa-e-husn ek aur vaar
haiñ aur bhī kalīm sar-e-rahguzār dekh
ai ham-nashīñ kudūrat-e-jānāñ nahīñ ga.ī
ye hai javāb-nāma-e-baḳht-e-ġhubār dekh
vo mai-kada khulā vo mirā mudda.ā milā
vo aa rahā hai jhuum ke abr-e-bahār dekh
maiñ to rahīn-e-lazzat-e-āzār ho chukā
ab koī aur ai sitam-e-rozgār dekh
dil meñ mire judā.ī-e-gulshan ke daaġh haiñ
laayā huuñ apne saath qafas meñ bahār dekh
kaisī bahār-e-ḳhuld kahāñ kā jamāl-e-hūr
rang-e-bayān vā.iz-e-parhez-gār dekh
maiñ jāntā huuñ kis kī haiñ jalva-numā.iyāñ
merī nazar se shaiḳh jahān-e-bahār dekh
ātish-kada tamām gulistāñ banā diyā
fasl-e-bahār-rang navā-e-hazār dekh
dāman meñ bāda-ḳhvār ke vaa.iz panāh le
mahshar meñ saiñkaḌoñ haiñ kahīñ jā ke yaar dekh
kyā ham bhī haiñ kalīm ki ġhash khā ke gir paḌeñ
haañ dekh to hameñ nigah-e-sho.ala-bār dekh
rahmat nisār hotī hai sadqe hai maġhfirat
qismat to apnī ai nigah-e-sharmsār dekh
kausar kā mai-kada hai to jannat kā gul-kada
husn-e-mazāq 'shāġhil'-e-parhez-gār dekh
mahdud kar nazar ko na tanha bahaar dekh
gulshan ke sath sath dil-e-dagh-dar dekh
himmat na haar gardish-e-lail-o-nahaar dekh
kuchh aur din abhi sitam-e-rozgar dekh
tuti ki tarah dekh na misl-e-hazar dekh
insan ban ke naqsh-o-nigar-e-bahaar dekh
ai na-shanas himmat-e-insan zara samajh
dil ki bisat dekh gham-e-rozgar dekh
mansur ki zaban se tu raaz-e-KHudi suna
meri jabin mein jalwa-e-husn-e-nigar dekh
barbaad kar na zindagi-e-mustaar ko
milni nahin ye chiz tujhe bar-bar dekh
ai shahsawar-e-arsa-e-husn ek aur war
hain aur bhi kalim sar-e-rahguzar dekh
ai ham-nashin kudurat-e-jaanan nahin gai
ye hai jawab-nama-e-baKHt-e-ghubar dekh
wo mai-kada khula wo mera muddaa mila
wo aa raha hai jhum ke abr-e-bahaar dekh
main to rahin-e-lazzat-e-azar ho chuka
ab koi aur ai sitam-e-rozgar dekh
dil mein mere judai-e-gulshan ke dagh hain
laya hun apne sath qafas mein bahaar dekh
kaisi bahaar-e-KHuld kahan ka jamal-e-hur
rang-e-bayan waiz-e-parhez-gar dekh
main jaanta hun kis ki hain jalwa-numaiyan
meri nazar se shaiKH jahan-e-bahaar dekh
aatish-kada tamam gulistan bana diya
fasl-e-bahaar-rang nawa-e-hazar dekh
daman mein baada-KHwar ke waiz panah le
mahshar mein sainkaDon hain kahin ja ke yar dekh
kya hum bhi hain kalim ki ghash kha ke gir paDen
han dekh to hamein nigah-e-shoala-bar dekh
rahmat nisar hoti hai sadqe hai maghfirat
qismat to apni ai nigah-e-sharmsar dekh
kausar ka mai-kada hai to jannat ka gul-kada
husn-e-mazaq 'shaghil'-e-parhez-gar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.