mahfil-e-dar mein hangama-e-sar baqi hai
mahfil-e-dār meñ hangāma-e-sar baaqī hai
shukr hai silsila-e-fikr-o-nazar baaqī hai
raat ke baa'd bhī raat aane kā Dar baaqī hai
kuchh sahī phir bhī ik imkān-e-sahar baaqī hai
dil kahāñ dil kī jagah us kī nazar baaqī hai
aa.ina TuuT gayā ā.ina-gar baaqī hai
dil kī dahlīz se ruḳhsat huiiñ yādeñ kitnī
ik tirī nīm-nigāhī kā asar baaqī hai
rāhbar saath haiñ ek ek qadam par lekin
ye to batlā.e koī kitnā safar baaqī hai
dil lahū ham ne kiyā haath lahū ham ne kiye
phir bhī ik silsila-e-kār-e-hunar baaqī hai
kis liye hādsa-e-vaqt se Darte ho 'majīd'
sang aate hī raheñge jo ye sar baaqī hai
mahfil-e-dar mein hangama-e-sar baqi hai
shukr hai silsila-e-fikr-o-nazar baqi hai
raat ke ba'd bhi raat aane ka Dar baqi hai
kuchh sahi phir bhi ek imkan-e-sahar baqi hai
dil kahan dil ki jagah us ki nazar baqi hai
aaina TuT gaya aaina-gar baqi hai
dil ki dahliz se ruKHsat huin yaaden kitni
ek teri nim-nigahi ka asar baqi hai
rahbar sath hain ek ek qadam par lekin
ye to batlae koi kitna safar baqi hai
dil lahu hum ne kiya hath lahu hum ne kiye
phir bhi ek silsila-e-kar-e-hunar baqi hai
kis liye hadsa-e-waqt se Darte ho 'majid'
sang aate hi rahenge jo ye sar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.