mahfil-e-gham mein ziya to hogi
mahfil-e-ġham meñ ziyā to hogī
dil jaleñge to jilā to hogī
kurra-e-arz ko hī lauT chalo
saañs lene ko havā to hogī
koī samjhe ki na samjhe lekin
baat hoñToñ se judā to hogī
maiñ to is shahr se nā-vāqif huuñ
is meñ sach baat ravā to hogī
lab to ḳhāmosh haiñ hasb-e-irshād
dil dhaḌakne kī sadā to hogī
mahfil-e-gham mein ziya to hogi
dil jalenge to jila to hogi
kurra-e-arz ko hi lauT chalo
sans lene ko hawa to hogi
koi samjhe ki na samjhe lekin
baat honTon se juda to hogi
main to is shahr se na-waqif hun
is mein sach baat rawa to hogi
lab to KHamosh hain hasb-e-irshad
dil dhaDakne ki sada to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.