mahfil ishq mein jo yar uThe aur baiThe
mahfil ishq mein jo yar uThe aur baiThe
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
mahfil ishq meñ jo yaar uThe aur baiThe
hai vo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe
raqs meñ jab ki vo tarrār uThe aur baiThe
be-qarārī se ye bīmār uThe aur baiThe
kasrat-e-ḳhalq vo mahfil meñ hai terī ik shaḳhs
nahīñ mumkin hai ki yakbār uThe aur baiThe
sar uThāne kī bhī fursat nahīñ detā hai hameñ
chū habāb-e-sar-e-jū yaar uThe aur baiThe
ḳhauf-e-badnāmī se tujh paas na aa.e varna
ham ka.ī baar sun ai yaar uThe aur baiThe
dard kyuuñ baiThe biThā.e tire sar meñ uTThā
ki qalaq se tire sau baar uThe aur baiThe
terī dīvār to kyā gumbad-e-dvvār bhī yaar
chāhiye āh-e-sharar-bār uThe aur baiThe
aap kī majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb
ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe
aap se ab to is ahqar ko sarokār nahīñ
jis jagah chāhiye sarkār uThe aur baiThe
hazrat-e-dil sipar-e-dāġh-e-junūñ ko le kar
yuuñ bar-e-ishq jigar-ḳhvār uThe aur baiThe
chuuñ dilerāna koī muñh pe sipar ko le kar
sher-e-ḳhūñ-ḳhvār ko lalkār uThe aur baiThe
kafashdoz un ke jab apne hī barābar baiTheñ
aisī majlis meñ to paizār uThe aur baiThe
zāhid aayā to gavārā nahīñ rindoñ ham ko
apnī is bazm meñ makkār uThe aur baiThe
donoñ kānoñ ko pakaḌ kar yahī hai us kī sazā
kah do sau baar ye ayyār uThe aur baiThe
baiThte uThte isī tarah ke likh aur ġhazal
jis meñ 'ehsāñ' ho na paikār uThe aur baiThe
mahfil ishq mein jo yar uThe aur baiThe
hai wo malka ki subuk-bar uThe aur baiThe
raqs mein jab ki wo tarrar uThe aur baiThe
be-qarari se ye bimar uThe aur baiThe
kasrat-e-KHalq wo mahfil mein hai teri ek shaKHs
nahin mumkin hai ki yakbar uThe aur baiThe
sar uThane ki bhi fursat nahin deta hai hamein
chu habab-e-sar-e-ju yar uThe aur baiThe
KHauf-e-badnami se tujh pas na aae warna
hum kai bar sun ai yar uThe aur baiThe
dard kyun baiThe biThae tere sar mein uTTha
ki qalaq se tere sau bar uThe aur baiThe
teri diwar to kya gumbad-e-dwwar bhi yar
chahiye aah-e-sharar-bar uThe aur baiThe
aap ki majlis-e-ali mein alarraghm raqib
ba-ijazat ye gunahgar uThe aur baiThe
aap se ab to is ahqar ko sarokar nahin
jis jagah chahiye sarkar uThe aur baiThe
hazrat-e-dil sipar-e-dagh-e-junun ko le kar
yun bar-e-ishq jigar-KHwar uThe aur baiThe
chun dilerana koi munh pe sipar ko le kar
sher-e-KHun-KHwar ko lalkar uThe aur baiThe
kafashdoz un ke jab apne hi barabar baiThen
aisi majlis mein to paizar uThe aur baiThe
zahid aaya to gawara nahin rindon hum ko
apni is bazm mein makkar uThe aur baiThe
donon kanon ko pakaD kar yahi hai us ki saza
kah do sau bar ye ayyar uThe aur baiThe
baiThte uThte isi tarah ke likh aur ghazal
jis mein 'ehsan' ho na paikar uThe aur baiThe
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.