mahfil ka buton ki kya kahna hum dil ko jahan gum kar baiThe
mahfil ka buton ki kya kahna hum dil ko jahan gum kar baiThe
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
mahfil kā butoñ kī kyā kahnā ham dil ko jahāñ gum kar baiThe
ḳhud apnī pareshānī se vahāñ sāmān-e-tabassum kar baiThe
ġharqāb to honā thā āḳhir tūfān na jaane kab aatā
ḳhud apnā safīna le jā kar ham nazr-e-talātum kar baiThe
ye ahl-e-sitam kī duniyā hai afsāna-e-ġham hai be-ma.anī
anjām na sochā kuchh dil meñ āġhāz kahāñ tum kar baiThe
is nazm-e-gulistāñ par ham ko aatī hai hañsī bhī ronā bhī
phūloñ kī do-roza zīnat par kāñTe bhī tabassum kar baiThe
jab marnā hai to marnā hai zinda rah kar kyā karnā hai
ham ko jo fanā kī yaad aa.ī jiine se tasādum kar baiThe
vo soz kahāñ vo saaz kahāñ dil ahl-e-tarab kā TuuT gayā
mahfil meñ ruuTh ke baiThe kyā tum ḳhatm tarannum kar baiThe
hai sang-diloñ kī mahfil meñ iz.hār-e-dard-e-dil kaisā
ye baat kahāñ kī thī 'ḳhushtar' aur aa ke kahāñ tum kar baiThe
mahfil ka buton ki kya kahna hum dil ko jahan gum kar baiThe
KHud apni pareshani se wahan saman-e-tabassum kar baiThe
gharqab to hona tha aaKHir tufan na jaane kab aata
KHud apna safina le ja kar hum nazr-e-talatum kar baiThe
ye ahl-e-sitam ki duniya hai afsana-e-gham hai be-mani
anjam na socha kuchh dil mein aaghaz kahan tum kar baiThe
is nazm-e-gulistan par hum ko aati hai hansi bhi rona bhi
phulon ki do-roza zinat par kanTe bhi tabassum kar baiThe
jab marna hai to marna hai zinda rah kar kya karna hai
hum ko jo fana ki yaad aai jine se tasadum kar baiThe
wo soz kahan wo saz kahan dil ahl-e-tarab ka TuT gaya
mahfil mein ruTh ke baiThe kya tum KHatm tarannum kar baiThe
hai sang-dilon ki mahfil mein izhaar-e-dard-e-dil kaisa
ye baat kahan ki thi 'KHushtar' aur aa ke kahan tum kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.