mahfil ka nur marja-e-aghyar kaun hai
mahfil kā nuur marja-e-aġhyār kaun hai
ham meñ halāk-e-tāle-e-bedār kaun hai
ham apne saa.e se to bhaḌak kar alif hue
dekhā nahīñ magar pas-e-dīvār kaun hai
har lamhe kī kamar pe hai ik mahmil-e-sukūt
logo batāo qātil-e-guftār kaun hai
ghar ghar khile haiñ naaz se sūraj-mukhī ke phuul
sūraj ko phir bhī māne-e-dīdār kaun hai
patthar uThā ke dard kā hiirā jo toḌ de
vo kaj-kulāh bāñkā tarah-dār kaun hai
mahfil ka nur marja-e-aghyar kaun hai
hum mein halak-e-tale-e-bedar kaun hai
hum apne sae se to bhaDak kar alif hue
dekha nahin magar pas-e-diwar kaun hai
har lamhe ki kamar pe hai ek mahmil-e-sukut
logo batao qatil-e-guftar kaun hai
ghar ghar khile hain naz se suraj-mukhi ke phul
suraj ko phir bhi mane-e-didar kaun hai
patthar uTha ke dard ka hira jo toD de
wo kaj-kulah banka tarah-dar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.