mahfil KHushiyan shor-sharaba ek taraf
mahfil ḳhushiyāñ shor-sharāba ek taraf
lekin āñkhoñ kā sannāTā ek taraf
us kā bas mahfil meñ yuuñ hī aa jaanā
phir saarī nazroñ kā honā ek taraf
roz raqīboñ kā dāvat par iThlānā
aur in do āñkhoñ kā faaqa ek taraf
ek taraf hai duniyā keī har mīThī shai
par us kā hans ke sharmānā ek taraf
ghar to saarā be-tartīb paḌā thā par
bas us keī yādoñ ko rakhā ek taraf
mahfil KHushiyan shor-sharaba ek taraf
lekin aankhon ka sannaTa ek taraf
us ka bas mahfil mein yun hi aa jaana
phir sari nazron ka hona ek taraf
roz raqibon ka dawat par iThlana
aur in do aankhon ka faqa ek taraf
ek taraf hai duniya kei har miThi shai
par us ka hans ke sharmana ek taraf
ghar to sara be-tartib paDa tha par
bas us kei yaadon ko rakha ek taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.