mahfil mahfil sannaTe hain
mahfil mahfil sannāTe haiñ
dard kī guuñj pe kaan dhare haiñ
dil thā shor thā hañgāme the
yaaro ham bhī tum jaise haiñ
mauj-e-havā meñ aag bharī hai
bahte dariyā khaul uThe haiñ
armānoñ ke narm shagūfe
shāḳhoñ ke ham-rāh jale haiñ
ye jo Dher haiñ ye jo khañDar haiñ
maazī kī galiyāñ-kūche haiñ
jin ko dekhnā bas meñ nahīñ thā
aise bhī manzar dekhe haiñ
kaun diloñ par dastak degā
yādoñ ne dam saadh liye haiñ
mahfil mahfil sannaTe hain
dard ki gunj pe kan dhare hain
dil tha shor tha hangame the
yaro hum bhi tum jaise hain
mauj-e-hawa mein aag bhari hai
bahte dariya khaul uThe hain
armanon ke narm shagufe
shaKHon ke ham-rah jale hain
ye jo Dher hain ye jo khanDar hain
mazi ki galiyan-kuche hain
jin ko dekhna bas mein nahin tha
aise bhi manzar dekhe hain
kaun dilon par dastak dega
yaadon ne dam sadh liye hain
- Book : Rag-e-jan (Pg. 65)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.