mahfil mein agar saqi-e-gulfam nahin hai
mahfil meñ agar sāqī-e-gulfām nahīñ hai
rindoñ ko mai-o-jām se kuchh kaam nahīñ hai
ārām se haiñ aur sabhī log jahāñ meñ
ham ishq ke māroñ ko hī ārām nahīñ hai
ai rāhrav-e-rāh-e-mohabbat ye samajh le
is raah meñ rāhat kā kahīñ naam nahīñ hai
lazzat-kash-e-āġhāz-e-mohabbat hai abhī dil
dīvāne ko andesha-e-anjām nahīñ hai
kyā aa.egā vo ahl-e-mohabbat kī nazar meñ
duniyā-e-mohabbat meñ jo badnām nahīñ hai
pur-nūr hai jo aks-e-ruḳh-e-yār se 'nayyar'
us sub.h-e-munavvar kī koī shaam nahīñ hai
mahfil mein agar saqi-e-gulfam nahin hai
rindon ko mai-o-jam se kuchh kaam nahin hai
aaram se hain aur sabhi log jahan mein
hum ishq ke maron ko hi aaram nahin hai
ai rahraw-e-rah-e-mohabbat ye samajh le
is rah mein rahat ka kahin nam nahin hai
lazzat-kash-e-aghaz-e-mohabbat hai abhi dil
diwane ko andesha-e-anjam nahin hai
kya aaega wo ahl-e-mohabbat ki nazar mein
duniya-e-mohabbat mein jo badnam nahin hai
pur-nur hai jo aks-e-ruKH-e-yar se 'nayyar'
us subh-e-munawwar ki koi sham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.