mahfil mein go ki zamzama-KHwani hai aur bas
mahfil meñ go ki zamzama-ḳhvānī hai aur bas
merī nazar meñ ashk-fishānī hai aur bas
chehre na.e na.e haiñ dayār-e-harīs meñ
lekin galī tumhārī purānī hai aur bas
tere baġhair din bhī guzārā hai iid kā
apnī kahāñ ye shaam suhānī hai aur bas
mujh ko to shahr-bhar meñ koī jāntā nahīñ
terī har ek lab pe kahānī hai aur bas
ḳhat to jalā diye haiñ magar ik añgushtarī
ab āḳhirī ye us kī nishānī hai aur bas
tū ne banā liye haiñ bahut ham-safar yahāñ
'tanhā' magar ye merī javānī hai or bas
mahfil mein go ki zamzama-KHwani hai aur bas
meri nazar mein ashk-fishani hai aur bas
chehre nae nae hain dayar-e-haris mein
lekin gali tumhaari purani hai aur bas
tere baghair din bhi guzara hai id ka
apni kahan ye sham suhani hai aur bas
mujh ko to shahr-bhar mein koi jaanta nahin
teri har ek lab pe kahani hai aur bas
KHat to jala diye hain magar ek angushtari
ab aaKHiri ye us ki nishani hai aur bas
tu ne bana liye hain bahut ham-safar yahan
'tanha' magar ye meri jawani hai or bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.