mahfil mein hum the is taraf wo shoKH chanchal us taraf
mahfil mein hum the is taraf wo shoKH chanchal us taraf
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
mahfil meñ ham the is taraf vo shoḳh chanchal us taraf
thī sāda-lauhī is taraf makr-o-fusūñ chhal us taraf
baiThe ham apne dhyān meñ baiThā vo apnī aan meñ
fikr-e-nazāra is taraf mukhḌe par āñchal us taraf
kyā kyā dikhātī hai alam kyā kyā rakhe hai pech-o-ḳham
aahoñ kī shorish is taraf zulf-e-musalsal us taraf
ham de ke dil haiñ rañj-kash vo le ke dil hai jī meñ ḳhush
be-tābī-e-jāñ is taraf rāhat ḳhushī kal us taraf
aaj us se milne ko 'nazīr' ahvāl hai dil kā ajab
ham khīñchte haiñ is taraf kahtā hai vo chal us taraf
mahfil mein hum the is taraf wo shoKH chanchal us taraf
thi sada-lauhi is taraf makr-o-fusun chhal us taraf
baiThe hum apne dhyan mein baiTha wo apni aan mein
fikr-e-nazara is taraf mukhDe par aanchal us taraf
kya kya dikhati hai alam kya kya rakhe hai pech-o-KHam
aahon ki shorish is taraf zulf-e-musalsal us taraf
hum de ke dil hain ranj-kash wo le ke dil hai ji mein KHush
be-tabi-e-jaan is taraf rahat KHushi kal us taraf
aaj us se milne ko 'nazir' ahwal hai dil ka ajab
hum khinchte hain is taraf kahta hai wo chal us taraf
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.