mahfil mein jaane kaise sar-e-am aa gaya
mahfil meñ jaane kaise sar-e-ām aa gayā
āḳhir zabāñ pe us ke mirā naam aa gayā
maiñ ne chhupā ke rakkhā thā jo dil meñ rāz-e-ishq
ḳhat meñ qubūl likh ke vo paiġhām aa gayā
kaise kahūñ falak maiñ tujhe kitnā ḳhush huuñ aaj
ye dekh le duāoñ kā in.aam aa gayā
saaqī se āñkhoñ āñkhoñ meñ ḳhālī ishāratan
kahne kī der thī ki bharā jaam aa gayā
qātil kā parda faash kiyā jabki maiñ ne ḳhud
mujh par hī haif qatl kā ilzām aa gayā
ab kuchh na hogā jaag ke ġhaflat kī niiñd se
sūraj ġhurūb hone lab-e-bām aa gayā
sayyād ke baġhair 'm'āle' na rah sakā
ghar lauT kar parinda sar-e-shām aa gayā
mahfil mein jaane kaise sar-e-am aa gaya
aaKHir zaban pe us ke mera nam aa gaya
main ne chhupa ke rakkha tha jo dil mein raaz-e-ishq
KHat mein qubul likh ke wo paigham aa gaya
kaise kahun falak main tujhe kitna KHush hun aaj
ye dekh le duaon ka inam aa gaya
saqi se aankhon aankhon mein KHali ishaaratan
kahne ki der thi ki bhara jam aa gaya
qatil ka parda fash kiya jabki main ne KHud
mujh par hi haif qatl ka ilzam aa gaya
ab kuchh na hoga jag ke ghaflat ki nind se
suraj ghurub hone lab-e-baam aa gaya
sayyaad ke baghair 'm'ale' na rah saka
ghar lauT kar parinda sar-e-sham aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.