mahfil mein sab ko apna parastar kar diya
mahfil meñ sab ko apnā parastār kar diyā
shīrīñ-zabāñ se us ne chamatkār kar diyā
ham jaisoñ meñ kahāñ thī bhalā ye salāhiyat
sohbat ne shā'iroñ kī suḳhan-kār kar diyā
ḳhabroñ meñ sach kī pahle sī ḳhushbū nahīñ rahī
so band ham ne aaj se aḳhbār kar diyā
rakhte haiñ ab har ek qadam dekh-bhāl kar
itnā to Thokaroñ ne samajh-dār kar diyā
qaa.em rahe hamārī kitāboñ se dostī
is ne ġharīb-e-fikr ko zardār kar diyā
aatī hai sharm aaj batāte hue 'vivek'
logoñ ne rājnītī ko byopār kar diyā
mahfil mein sab ko apna parastar kar diya
shirin-zaban se us ne chamatkar kar diya
hum jaison mein kahan thi bhala ye salahiyat
sohbat ne sha'iron ki suKHan-kar kar diya
KHabron mein sach ki pahle si KHushbu nahin rahi
so band hum ne aaj se aKHbar kar diya
rakhte hain ab har ek qadam dekh-bhaal kar
itna to Thokaron ne samajh-dar kar diya
qaem rahe hamari kitabon se dosti
is ne gharib-e-fikr ko zardar kar diya
aati hai sharm aaj batate hue 'wiwek'
logon ne rajniti ko byopar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.