mahfil mein thi dilon mein koi raushni na thi
mahfil meñ thī diloñ meñ koī raushnī na thī
kahne ko zindagī thī magar zindagī na thī
ummīd-o-ās kī to koī raushnī na thī
phir bhī mirī ḳhushī meñ kahīñ kuchh kamī na thī
yuuñ dekhiye chaman meñ guloñ kī kamī na thī
yuuñ sochiye to rang na thā tāzgī na thī
terī ye be-ruḳhī to faqat be-ruḳhī na thī
dil kā savāl thā ye koī dil-lagī na thī
un ke mizāj meñ kabhī itnī kajī na thī
anjān the vo ham se magar be-ruḳhī na thī
mānūs thī nazar tire andāz-e-dīd se
duzdīda thī nigāh magar ajnabī na thī
mahfil mein thi dilon mein koi raushni na thi
kahne ko zindagi thi magar zindagi na thi
ummid-o-as ki to koi raushni na thi
phir bhi meri KHushi mein kahin kuchh kami na thi
yun dekhiye chaman mein gulon ki kami na thi
yun sochiye to rang na tha tazgi na thi
teri ye be-ruKHi to faqat be-ruKHi na thi
dil ka sawal tha ye koi dil-lagi na thi
un ke mizaj mein kabhi itni kaji na thi
anjaan the wo hum se magar be-ruKHi na thi
manus thi nazar tere andaz-e-did se
duzdida thi nigah magar ajnabi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.