mahfil tamam raat hi yun to saji rahi
mahfil tamām raat hī yuuñ to sajī rahī
lekin tumhāre baa'd tumhārī kamī rahī
kitne hī log saath meñ chalte the duur tak
rishtoñ meñ tah sī dhuul kī lekin jamī rahī
pachhtā rahā huuñ aaj bhī apne gunāh par
ik baar jhuk ga.ī to ye gardan jhukī rahī
samjhā rahe the chāñd sitāre mujhe magar
mujh se hī merī jang musalsal chhiḌī rahī
merī nazar thī paak ye lahja bhī narm thā
jab tak mire mizāj meñ shā.istagī rahī
phirtī thī merī ziist kisī kī talāsh meñ
jab tak mire vujūd meñ terī kamī rahī
mahfil tamam raat hi yun to saji rahi
lekin tumhaare ba'd tumhaari kami rahi
kitne hi log sath mein chalte the dur tak
rishton mein tah si dhul ki lekin jami rahi
pachhta raha hun aaj bhi apne gunah par
ek bar jhuk gai to ye gardan jhuki rahi
samjha rahe the chand sitare mujhe magar
mujh se hi meri jang musalsal chhiDi rahi
meri nazar thi pak ye lahja bhi narm tha
jab tak mere mizaj mein shaistagi rahi
phirti thi meri zist kisi ki talash mein
jab tak mere wujud mein teri kami rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.