mahfuz nahin zauq-e-hawas dast-e-fana se
mahfuz nahin zauq-e-hawas dast-e-fana se
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
mahfūz nahīñ zauq-e-havas dast-e-fanā se
qudrat ne navāzā hai mohabbat ko baqā se
har harf-e-muqaddas hai haqīqat kā muhāfiz
mansūr hai ma.atūb anal-haq kī sadā se
resham kī tarah narm hai be-shak tirā lahja
ā.īna-e-dil TuuT gayā zarb-e-anā se
duzdīda-nigāhī ne dikhāyā ye karishma
achchhā huā bīmār davā se na duā se
tā-umr satā.egī tujhe merī rifāqat
hai puḳhta mirā rang-e-lahū rañg-e-hinā se
jab itr-fashāñ sair-e-gulistāñ ko vo aa.e
'sāhil' mujhe bhejā gayā paiġhām sabā se
mahfuz nahin zauq-e-hawas dast-e-fana se
qudrat ne nawaza hai mohabbat ko baqa se
har harf-e-muqaddas hai haqiqat ka muhafiz
mansur hai matub anal-haq ki sada se
resham ki tarah narm hai be-shak tera lahja
aaina-e-dil TuT gaya zarb-e-ana se
duzdida-nigahi ne dikhaya ye karishma
achchha hua bimar dawa se na dua se
ta-umr sataegi tujhe meri rifaqat
hai puKHta mera rang-e-lahu rang-e-hina se
jab itr-fashan sair-e-gulistan ko wo aae
'sahil' mujhe bheja gaya paigham saba se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.