mahfuz rahega kya ehsas ka aaina
mahfūz rahegā kyā ehsās kā ā.īna
patthar ke muqābil hai almās kā ā.īna
ab chehra-e-māzī bhī pahchānā nahīñ jaatā
yuuñ TuuT ke bikhrā hai itihās kā ā.īna
mafhūm to mabnī hai qaarī kī basīrat par
alfāz se raushan hai qirtās kā ā.īna
is ahd meñ rishtoñ kī be-rañg dukānoñ meñ
hiire se bhī mahñgā hai vishvās kā ā.īna
is shahr meñ yuuñ phailī āzār kī parchhā.īñ
har shaḳhs kā chehra hai ab yaas kā ā.īna
mahfuz rahega kya ehsas ka aaina
patthar ke muqabil hai almas ka aaina
ab chehra-e-mazi bhi pahchana nahin jata
yun TuT ke bikhra hai itihas ka aaina
mafhum to mabni hai qari ki basirat par
alfaz se raushan hai qirtas ka aaina
is ahd mein rishton ki be-rang dukanon mein
hire se bhi mahnga hai wishwas ka aaina
is shahr mein yun phaili aazar ki parchhain
har shaKHs ka chehra hai ab yas ka aaina
- Book : Roshni Ke Phool (Pg. 36)
- Author : Anwar Minai
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.