mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho
mahkā hai gul-e-ḳhūn-e-vafā jāniye kyā ho
jaltī hai koī sham-e-hinā jāniye kyā ho
bandish hai nigāhoñ pe dil-o-jāñ pe haiñ pahre
ta.abīr tirī ḳhvāb-e-vafā jāniye kyā ho
muddat se kisī zulf kī ḳhushbū nahīñ aatī
masrūfiyat-e-dast-e-sabā jāniye kyā ho
sho.ala sā lapaktā hai koī rauzan-e-dar se
ḳhandāñ hai phir ik bint-e-hayā jāniye kyā ho
Thahrī hai sabā gardish-e-aflāk rukī hai
kastā hai koī band-e-qabā jāniye kyā ho
baaqī hai abhī talḳhi-e-zahrāb laboñ par
hai phir lab-e-sāqī pe salā jāniye kyā ho
mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho
jalti hai koi sham-e-hina jaaniye kya ho
bandish hai nigahon pe dil-o-jaan pe hain pahre
tabir teri KHwab-e-wafa jaaniye kya ho
muddat se kisi zulf ki KHushbu nahin aati
masrufiyat-e-dast-e-saba jaaniye kya ho
shoala sa lapakta hai koi rauzan-e-dar se
KHandan hai phir ek bint-e-haya jaaniye kya ho
Thahri hai saba gardish-e-aflak ruki hai
kasta hai koi band-e-qaba jaaniye kya ho
baqi hai abhi talKHi-e-zahrab labon par
hai phir lab-e-saqi pe sala jaaniye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.