mahke gesu aariz nauras
mahke gesū aariz nauras
shām-e-avadh aur sub.h-e-banaras
un se milnā mushkil az-bas
chāñdnī rāteñ darbāñ chaukas
aañsū ko dāman meñ le lo
phuul kī ḳhushbū jaa.e rach-bas
ḳhāme farishtoñ ke lahrā.eñ
amdan un ke shāne se mas
vo jin ke qabze meñ ḳhudā.ī
ishq kī duniyā meñ haiñ bebas
ijz-e-vafā bhī jurm hai shāyad
shahr-badar ho jaa.eñ bekas
'mānī' do-ālam sajde meñ
palkeñ bojhal nazreñ alkas
mahke gesu aariz nauras
sham-e-awadh aur subh-e-banaras
un se milna mushkil az-bas
chandni raaten darban chaukas
aansu ko daman mein le lo
phul ki KHushbu jae rach-bas
KHame farishton ke lahraen
amdan un ke shane se mas
wo jin ke qabze mein KHudai
ishq ki duniya mein hain bebas
ijz-e-wafa bhi jurm hai shayad
shahr-badar ho jaen bekas
'mani' do-alam sajde mein
palken bojhal nazren alkas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.