mahke hue gulon ka chaman bolne laga
mahke hue guloñ kā chaman bolne lagā
vo chup huā to us kā badan bolne lagā
āñchal hai kahkashāñ to vo ḳhud bhī hai chāñd sā
bāhoñ meñ merī aa ke gagan bolne lagā
tābāniyoñ meñ us kī hai mauj-e-vafā kī guuñj
din chup huā to dil kā ratan bolne lagā
bolī ga.ī thī dard ke mausam meñ jo kabhī
phir vo zabān apnā vatan bolne lagā
ḳhāmosh rah ke us ne guzārī thī zindagī
vo shaḳhs jab marā to kafan bolne lagā
dil kī haveliyoñ ke hue aa.ine ḳhamosh
shahr-e-anā meñ sañg-e-kuhan bolne lagā
aahan ke shor-o-shar meñ hai 'asrār' vo asar
lahje meñ dhun ke aaj kā fan bolne lagā
mahke hue gulon ka chaman bolne laga
wo chup hua to us ka badan bolne laga
aanchal hai kahkashan to wo KHud bhi hai chand sa
bahon mein meri aa ke gagan bolne laga
tabaniyon mein us ki hai mauj-e-wafa ki gunj
din chup hua to dil ka ratan bolne laga
boli gai thi dard ke mausam mein jo kabhi
phir wo zaban apna watan bolne laga
KHamosh rah ke us ne guzari thi zindagi
wo shaKHs jab mara to kafan bolne laga
dil ki haweliyon ke hue aaine KHamosh
shahr-e-ana mein sang-e-kuhan bolne laga
aahan ke shor-o-shar mein hai 'asrar' wo asar
lahje mein dhun ke aaj ka fan bolne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.