mahki hai moattar hai faza uske labon se
mahkī hai mo.attar hai fazā us ke laboñ se
husn-e-suḳhan aur nām-e-ḳhudā us ke laboñ se
ab vāhima-e-ishq ho yā vāhima-e-husn
suntā to huuñ kuchh zikr-e-vafā us ke laboñ se
ye naġhmagarī hīla-e-dīvāna-garī hai
aatī hai bas ab hū kī sadā us ke laboñ se
har baat shagufta hī likhī us ke laboñ kī
har aan shagūfa sā khilā us ke laboñ se
hogā kahīñ sapne meñ chhupā harf-e-vafā bhī
aatī to hai ḳhushbu-e-vafā us ke laboñ se
go rabt to kitnā hai magar us pe bhī kyā zikr
sun le jo koī naam mirā us ke laboñ se
dushnām bhī paa.e hue ḳhush-kām bhī 'haqqī'
ham ne bahut in.aam liyā us ke laboñ se
mahki hai moattar hai faza us ke labon se
husn-e-suKHan aur nam-e-KHuda us ke labon se
ab wahima-e-ishq ho ya wahima-e-husn
sunta to hun kuchh zikr-e-wafa us ke labon se
ye naghmagari hila-e-diwana-gari hai
aati hai bas ab hu ki sada us ke labon se
har baat shagufta hi likhi us ke labon ki
har aan shagufa sa khila us ke labon se
hoga kahin sapne mein chhupa harf-e-wafa bhi
aati to hai KHushbu-e-wafa us ke labon se
go rabt to kitna hai magar us pe bhi kya zikr
sun le jo koi nam mera us ke labon se
dushnam bhi pae hue KHush-kaam bhi 'haqqi'
hum ne bahut inam liya us ke labon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.