mahr-e-taban hun Dhal raha hun main
mahr-e-tābāñ huuñ Dhal rahā huuñ maiñ
vaqt ke saath chal rahā huuñ maiñ
fazl-e-rab se havā muāfiq hai
bujhne vaalā thā jal rahā huuñ maiñ
merā mahbūb shāḳh-e-gul jaisā
soch kar hī machal rahā huuñ maiñ
us ko paanā bahut kaThin thā magar
is mission meñ saphal rahā huuñ maiñ
qadr kī jaa.e mere sheroñ kī
logo motī ugal rahā huuñ maiñ
ik taraf rakh diyā hai apnā mizāj
hasb-e-mausam badal rahā huuñ maiñ
rahguzar ishq kī are tauba
jaise sho.aloñ pe chal hā huuñ maiñ
log mar jaate haiñ 'zamāñ' in meñ
jin masā.il meñ pal rahā huuñ meñ
mahr-e-taban hun Dhal raha hun main
waqt ke sath chal raha hun main
fazl-e-rab se hawa muafiq hai
bujhne wala tha jal raha hun main
mera mahbub shaKH-e-gul jaisa
soch kar hi machal raha hun main
us ko pana bahut kaThin tha magar
is mission mein saphal raha hun main
qadr ki jae mere sheron ki
logo moti ugal raha hun main
ek taraf rakh diya hai apna mizaj
hasb-e-mausam badal raha hun main
rahguzar ishq ki are tauba
jaise shoalon pe chal ha hun main
log mar jate hain 'zaman' in mein
jin masail mein pal raha hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.