mahram-e-dil hua wo sahra wa
mahram-e-dil huā vo sahrā vā
kar ki ma.alūm vālī-o-rusvā
soch kar āh-e-dard kuuñ ārām
dil hamārā huā daras kā gadā
mehr kar mehr mom-dil ho kar
kar atā dil kā mudda.ā saarā
dard kā ghar huā hamārā dil
haar gul kā huā gul-e-saudā
dil kahā lā-ilāha il-lallāh
vird-e-ism-e-rasūl kar ke sadā
mahram-e-dil hua wo sahra wa
kar ki malum wali-o-ruswa
soch kar aah-e-dard kun aaram
dil hamara hua daras ka gada
mehr kar mehr mom-dil ho kar
kar ata dil ka muddaa sara
dard ka ghar hua hamara dil
haar gul ka hua gul-e-sauda
dil kaha la-ilaha il-lallah
wird-e-ism-e-rasul kar ke sada
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 344)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.