Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahrumi-e-dawam pe nazan koi to ho

Begum Mumtaz Mirza

mahrumi-e-dawam pe nazan koi to ho

Begum Mumtaz Mirza

MORE BYBegum Mumtaz Mirza

    mahrūmī-e-davām pe nāzāñ koī to ho

    ai dil jafā-e-dost ke shāyāñ koī to ho

    āḳhir kisī ko kah to sakeñ rafta-e-bahār

    phūloñ tarh chāk-garebāñ koī to ho

    barq-e-chaman ko ham se 'adāvat nahīñ magar

    ayyām-e-gul meñ soḳhta-sāmāñ koī to ho

    koī kalī to khil ke hañse sehn-e-bāġh meñ

    ai dil harīf-e-gardish-e-daurāñ koī to ho

    rusvā.iyāñ ki dār-o-rasan dar-e-habīb

    'mumtāz' apnī ziist 'unvāñ koī to ho

    mahrumi-e-dawam pe nazan koi to ho

    ai dil jafa-e-dost ke shayan koi to ho

    aaKHir kisi ko kah to saken rafta-e-bahaar

    phulon ki tarh chaak-gareban koi to ho

    barq-e-chaman ko hum se 'adawat nahin magar

    ayyam-e-gul mein soKHta-saman koi to ho

    koi kali to khil ke hanse sehn-e-bagh mein

    ai dil harif-e-gardish-e-dauran koi to ho

    ruswaiyan ki dar-o-rasan ya dar-e-habib

    'mumtaz' apni zist ka 'unwan koi to ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now