mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uThae
mahrūmī ke dukh aur tanhā.ī ke rañj uThā.e
lekin ham ko aaj bhī jhūTā pyaar na karnā aa.e
sail-e-ġham-e-duniyā ne dil se kyā kyā naqsh miTā.e
hijr kī rātoñ meñ ab terī shakl bhī yaad na aa.e
tanhā.ī kā sannāTā aur aatī jaatī rāteñ
terī yaad na aur koī ġham phir bhī niiñd na aa.e
tere ma.asūmāna pyaar kī daulat pā kar ham ne
aksar naaz kiyā hai lekin kabhī kabhī pachhtā.e
pyāsī kaliyāñ paanī ke qatre qatre ko tarseñ
aur karam kā bādal dariyāoñ pe barastā jaa.e
mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uThae
lekin hum ko aaj bhi jhuTa pyar na karna aae
sail-e-gham-e-duniya ne dil se kya kya naqsh miTae
hijr ki raaton mein ab teri shakl bhi yaad na aae
tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten
teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae
tere masumana pyar ki daulat pa kar hum ne
aksar naz kiya hai lekin kabhi kabhi pachhtae
pyasi kaliyan pani ke qatre qatre ko tarsen
aur karam ka baadal dariyaon pe barasta jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.