mahshar kā hameñ kyā ġham isyāñ kise kahte haiñ
palle pe vo but hogā mīzāñ kise kahte haiñ
ushshāq phire dar-dar aivāñ kise kahte haiñ
sar baar rahā tan par sāmāñ kise kahte haiñ
vasl-e-but-e-mahrū hai sharb-e-mai-e-gulgūñ hai
phir aur ināyāt-e-yazdāñ kise kahte haiñ
qaidī rahe vahshat meñ be-ḳhud the magar aise
ye bhī na khulā ham par zindāñ kise kahte haiñ
insān kā bas nafs-e-ammāra muḳharrab hai
lā-haul valā quvvat shaitāñ kise kahte haiñ
mahtāb tire aage niklā to nujūmī ko
sābit na huā māh-e-tābāñ kise kahte haiñ
bīmār-e-mohabbat haiñ mar jaa.eñ to achchhā hai
qurbān atibbā ke darmāñ kise kahte haiñ
kyūñkar na hañseñ sun kar hāl-e-dil 'āshiq ko
kamsin haiñ vo kyā jāneñ armāñ kise kahte haiñ
ai vā.izo ye bāteñ achchhī nahīñ gunjlak kī
koī jo kabhī samjhe īmāñ kise kahte haiñ
dekheñ to ḳhizar tere āb-e-dam-e-ḳhanjar ko
mā'lūm nahīñ āb-e-haivāñ kise kahte haiñ
haañ dast-e-junūñ sau sau zanjīr kī TukḌe hoñ
sansī kise kahte haiñ sohāñ kise kahte haiñ
be-yār ye bādal haiñ dil shaam kī faujoñ ke
bauchhār hai tīroñ kī bārāñ kise kahte haiñ
ham aap ke ghar aa kar farmā.iye jā.eñge
achchhī rahī lo suniye mehmāñ kise kahte haiñ
jab dekhte haiñ gul ko kahte haiñ vo shoḳhī se
rotī huī sūrat hai ḳhandāñ kise kahte haiñ
be-ḳhud ḳhalish-e-ġham se hote haiñ to kahte haiñ
ai dil ye khaTak kyā hai mizhgāñ kise kahte haiñ
dīvār ko zindāñ kī pathrā ga.e dīvāne
jis dam ye ḳhayāl aayā maidāñ kise kahte haiñ
ā.īne ke saath apnī sūrat unheñ dikhlā.eñ
dekheñ to vo dono meñ hairāñ kise kahte haiñ
shohra hai 'sabā' ab to apnī bhī fasāhat kā
'ātish' ke muqallid haiñ sohbāñ kise kahte haiñ
mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain
palle pe wo but hoga mizan kise kahte hain
ushshaq phire dar-dar aiwan kise kahte hain
sar bar raha tan par saman kise kahte hain
wasl-e-but-e-mahru hai sharb-e-mai-e-gulgun hai
phir aur inayat-e-yazdan kise kahte hain
qaidi rahe wahshat mein be-KHud the magar aise
ye bhi na khula hum par zindan kise kahte hain
insan ka bas nafs-e-ammara muKHarrab hai
la-haul wala quwwat shaitan kise kahte hain
mahtab tere aage nikla to nujumi ko
sabit na hua mah-e-taban kise kahte hain
bimar-e-mohabbat hain mar jaen to achchha hai
qurban atibba ke darman kise kahte hain
kyunkar na hansen sun kar haal-e-dil 'ashiq ko
kamsin hain wo kya jaanen arman kise kahte hain
ai waizo ye baaten achchhi nahin gunjlak ki
koi jo kabhi samjhe iman kise kahte hain
dekhen to KHizar tere aab-e-dam-e-KHanjar ko
ma'lum nahin aab-e-haiwan kise kahte hain
han dast-e-junun sau sau zanjir ki TukDe hon
sansi kise kahte hain sohan kise kahte hain
be-yar ye baadal hain dil sham ki faujon ke
bauchhaar hai tiron ki baran kise kahte hain
hum aap ke ghar aa kar farmaiye jaenge
achchhi rahi lo suniye mehman kise kahte hain
jab dekhte hain gul ko kahte hain wo shoKHi se
roti hui surat hai KHandan kise kahte hain
be-KHud KHalish-e-gham se hote hain to kahte hain
ai dil ye khaTak kya hai mizhgan kise kahte hain
diwar ko zindan ki pathra gae diwane
jis dam ye KHayal aaya maidan kise kahte hain
aaine ke sath apni surat unhen dikhlaen
dekhen to wo dono mein hairan kise kahte hain
shohra hai 'saba' ab to apni bhi fasahat ka
'atish' ke muqallid hain sohban kise kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.