Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya

Zareef Lakhnavi

mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    mahsharistān-e-junūñ meñ dil-e-nākām aayā

    naala hañgāma-navāzī pe sar-e-shām aayā

    mehr az-rū-e-muallā jo lab-e-bām aayā

    dekhiye dekhiye ab dhuup ga.ī ghaam aayā

    barq sho.ala-navāzī sabab-e-tūl-e-hayāt

    fitrat-e-maut tirī ziist hañgām aayā

    muntashir ho ga.e jis vaqt sab ajzā-e-hayāt

    qatra dariyā meñ ba-andāza-e-anjām aayā

    tausan-e-umr-e-gurezāñ subuk-raftārī

    kaam detī nahīñ jab maut paiġhām aayā

    markaz-e-rūh ye hai kashmakash-e-maut-o-hayāt

    phir bhī vāraftagī-e-shauq pe ilzām aayā

    maiñ vo āsūda-e-soz-e-ḳhalish-e-mizhgāñ huuñ

    jis ko rāh-e-talab-e-shauq meñ ārām aayā

    tuur se ik kashish-e-mashq thī sūrat-gar-e-shauq

    tujh par ai vādī-e-aiman abas ilzām aayā

    sard-mehrī se kisī ko jo huī hājat-e-ġhusl

    garm-joshī ko baġhal meñ liye hammām aayā

    zulf ke jaal meñ ma.ashūq sar hai ḳhud bhī

    qaidiyoñ muzhda ki sayyād tah-e-dām aayā

    qabr se rāsta sīdhā hai ḳhudā ke ghar

    jo udhar jaane lagā bāñdh ke ehrām aayā

    hai agar naam isī adbiyāt-e-latīf

    to 'zarīf' is ko kaheñ kyā jise ye kaam aayā

    mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya

    nala hangama-nawazi pe sar-e-sham aaya

    mehr az-ru-e-mualla jo lab-e-baam aaya

    dekhiye dekhiye ab dhup gai gham aaya

    barq ki shoala-nawazi sabab-e-tul-e-hayat

    fitrat-e-maut teri zist ka hangam aaya

    muntashir ho gae jis waqt sab ajza-e-hayat

    qatra dariya mein ba-andaza-e-anjam aaya

    tausan-e-umr-e-gurezan ki subuk-raftari

    kaam deti nahin jab maut ka paigham aaya

    markaz-e-ruh ye hai kashmakash-e-maut-o-hayat

    phir bhi waraftagi-e-shauq pe ilzam aaya

    main wo aasuda-e-soz-e-KHalish-e-mizhgan hun

    jis ko rah-e-talab-e-shauq mein aaram aaya

    tur se ek kashish-e-mashq thi surat-gar-e-shauq

    tujh par ai wadi-e-aiman abas ilzam aaya

    sard-mehri se kisi ko jo hui hajat-e-ghusl

    garm-joshi ko baghal mein liye hammam aaya

    zulf ke jal mein mashuq ka sar hai KHud bhi

    qaidiyon muzhda ki sayyaad tah-e-dam aaya

    qabr se rasta sidha hai KHuda ke ghar ka

    jo udhar jaane laga bandh ke ehram aaya

    hai agar nam isi ka adbiyat-e-latif

    to 'zarif' is ko kahen kya jise ye kaam aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now