mahsus jo karte ho ye halchal mere andar
mahsūs jo karte ho ye halchal mire andar
kuchh TūTtā rahtā hai musalsal mire andar
hoñThoñ pe tabassum ke gulāboñ kī numā.ish
hai nāg-phanī kā koī jañgal mire andar
mushkil hai ki ye pyaas mirī kaise miTegī
sahrā haiñ mire hoñTh to bādal mire andar
is baar jo us ne mujhe bāhar se sameTā
is baar huā ḳhvāb mukammal mire andar
is ruuh ko āzād karo jism se jaldī
mar jaa.e na ghuT ghaT ke ye pāgal mire andar
mahsus jo karte ho ye halchal mere andar
kuchh TuTta rahta hai musalsal mere andar
honThon pe tabassum ke gulabon ki numaish
hai nag-phani ka koi jangal mere andar
mushkil hai ki ye pyas meri kaise miTegi
sahra hain mere honTh to baadal mere andar
is bar jo us ne mujhe bahar se sameTa
is bar hua KHwab mukammal mere andar
is ruh ko aazad karo jism se jaldi
mar jae na ghuT ghaT ke ye pagal mere andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.