mahtab faza ke aaine mein
mahtāb fazā ke aa.ine meñ
dekhā thā ḳhudā ke aa.ine meñ
tum ḳhvāb se do-qadam nikal kar
chhup jaao duā ke aa.ine meñ
gahrā.iyāñ nāptā rahūñgā
dekhūñgā ḳhalā ke aa.ine meñ
is peḌ kā Dar batā rahā hai
tūfān-e-havā ke aa.ine meñ
chehrā hai magar tilism jaisā
chhup jaa.e Darā ke aa.ine meñ
chal ḳhvāb samet Duub jaa.eñ
poshāk haTā ke aa.ine meñ
maiñ kaash sitāre painT kar luuñ
aflāk banā ke aa.ine meñ
mahtab faza ke aaine mein
dekha tha KHuda ke aaine mein
tum KHwab se do-qadam nikal kar
chhup jao dua ke aaine mein
gahraiyan napta rahunga
dekhunga KHala ke aaine mein
is peD ka Dar bata raha hai
tufan-e-hawa ke aaine mein
chehra hai magar tilism jaisa
chhup jae Dara ke aaine mein
chal KHwab samet Dub jaen
poshak haTa ke aaine mein
main kash sitare painT kar lun
aflak bana ke aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.