mahw-e-hairat hun zamin-zade kahan tak aa gae
mahw-e-hairat hun zamin-zade kahan tak aa gae
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
mahv-e-hairat huuñ zamīñ-zāde kahāñ tak aa ga.e
jin ko rahnā thā zamīñ par āsmāñ tak aa ga.e
rāz-e-ulfat dil meñ rakhne kī qasam khaa.ī magar
jab havā badlī to vo nok-e-zabāñ tak aa ga.e
hādsoñ ne dil kī barbādī pe merī bas na kī
vo miTāne ko mirā nām-o-nishāñ tak aa ga.e
ḳhud-kushī thī yā taqāzā-e-numū-e-shauq thā
dil ke dariyā āb-e-bahr-e-be-karāñ tak aa ga.e
zaḳhm-e-dil kī daad paane kī tavaqqo.a jin se thī
vo to ulTe jān-o-dil ke imtihāñ tak aa ga.e
kāmrānī haft-ḳhvān-e-shuq kī jāneñge ham
DhūñDte ain-e-yaqīñ vahm-o-gumāñ tak aa ga.e
barq-raftārī meñ 'rāhī' sar kiyā vo sañg-e-mīl
the farishte bhī pas-e-rū ham jahāñ tak aa ga.e
mahw-e-hairat hun zamin-zade kahan tak aa gae
jin ko rahna tha zamin par aasman tak aa gae
raaz-e-ulfat dil mein rakhne ki qasam khai magar
jab hawa badli to wo nok-e-zaban tak aa gae
hadson ne dil ki barbaadi pe meri bas na ki
wo miTane ko mera nam-o-nishan tak aa gae
KHud-kushi thi ya taqaza-e-numu-e-shauq tha
dil ke dariya aab-e-bahr-e-be-karan tak aa gae
zaKHm-e-dil ki dad pane ki tawaqqoa jin se thi
wo to ulTe jaan-o-dil ke imtihan tak aa gae
kaamrani haft-KHwan-e-shuq ki jaanenge hum
DhunDte ain-e-yaqin wahm-o-guman tak aa gae
barq-raftari mein 'rahi' sar kiya wo sang-e-mil
the farishte bhi pas-e-ru hum jahan tak aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.