mahw-e-KHayal-e-yar hun mujhko kisi se kya
mahv-e-ḳhayāl-e-yār huuñ mujh ko kisī se kyā
jab tak huuñ raushnī meñ mujhe tīrgī se kyā
vo ḳhud-baḳhud hī sāmne aa jā.egā kabhī
jo dil meñ hai mire maiñ batā.ūñ abhī se kyā
thoḌā sā muskurā ke jo kahiye to phir mujhe
inkār bhī qubūl hai iqrār hī se kyā
vo misl-e-mushk jis se mahakte the roz-o-shab
vo hī nahīñ to zindagī ko zindagī se kyā
jin ke haiñ sone chāñdī ke sāġhar bhare hue
un ko kisī ġharīb kī tishna-labī se kyā
ahbāb hī jo vaqt paḌe par na kaam aa.eñ
ummīd koī rakkhe bhalā phir kisī se kyā
tum ko to apne ranj-o-masarrat kī fikr hai
mere ġham-e-hayāt mirī bebasī se kyā
laa.ī hai us maqām par ab zindagī jahāñ
vasl-o-firāq se bhī kyā ranj-o-ḳhushī se kyā
'gulshan' ham ahl-e-hind ahinsā pasand haiñ
dushman se bhī hai pyaar hameñ dost hī se kyā
mahw-e-KHayal-e-yar hun mujh ko kisi se kya
jab tak hun raushni mein mujhe tirgi se kya
wo KHud-baKHud hi samne aa jaega kabhi
jo dil mein hai mere main bataun abhi se kya
thoDa sa muskura ke jo kahiye to phir mujhe
inkar bhi qubul hai iqrar hi se kya
wo misl-e-mushk jis se mahakte the roz-o-shab
wo hi nahin to zindagi ko zindagi se kya
jin ke hain sone chandi ke saghar bhare hue
un ko kisi gharib ki tishna-labi se kya
ahbab hi jo waqt paDe par na kaam aaen
ummid koi rakkhe bhala phir kisi se kya
tum ko to apne ranj-o-masarrat ki fikr hai
mere gham-e-hayat meri bebasi se kya
lai hai us maqam par ab zindagi jahan
wasl-o-firaq se bhi kya ranj-o-KHushi se kya
'gulshan' hum ahl-e-hind ahinsa pasand hain
dushman se bhi hai pyar hamein dost hi se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.